Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din
Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din
Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din
Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din
Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din
Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din
Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein
Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar jaon Main
Sans Banke Kabhi Nathnoan Se Kabhi Hontoan Se
Hoale Hoale Tere Seeney Mein Utar Jaon Main
Arzo Dil Ki Merey Jaan-e-Wafa Bass Hai Yehi
Terey Hontoan Pe Hansi Banke Nikhar Jaon Mein
Mar Ke Bhi Saath Rahe Teram Bas Ek Iske Liye
Khoon Banke Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Mein
No comments:
Post a Comment